Pages

Showing posts with label Short Urdu love stories. Show all posts
Showing posts with label Short Urdu love stories. Show all posts

Friday, 28 October 2011

Khushiyon ka aangan

Aaj mere suhaag raat thee! Aaj woh raat thee jis ka Moaz aur main nay kabih university ke library ke seryo pay sari university say baykhabar hu ker dekhtay thay aur apnay khaabo kay khushyu kay aangun main. Aaj main dulhun bani baethe thee aur mera surkh chehra baqool mere nend kay sharma sharma kay aur be surkh aur dilkash ho gya thaa.
Moaz kamray main aaa gay thay aur bedroom lock ker chukay. Es kay saath he meray dil ke darkhan taez hu chuki thee. Moaz aey aur mera gunghat uthaya aur youn goya howay “ Jaan-e-jaan! Kehta thaa hum dono ke mohabbat sachi aur pakeeza hai, chahay kitne he mushkalain kyoun na humain dekhni peray, hum zaroor aik dosray kay humsafar banay gay! “. Yeh baat main pichlay 4 saal say 1 din main kum az kum 200 dafa Moaz kay mou say sunti thee leaqin mujhay es main sadaqat nahi lagti thee. Aaj yaqeen howa thaa k agher Mohabbat sachi hu tu ensaan zaroor paa leta ha apni mohabbat ko.
Aaj Moaz ke baaho main aaa ker jee chaah reha thaa kay kabih en baaho say kabih baahir na niklo bulkay waqt thum jaey. Un ka mujhay jaan-e-mun kaeh kay pukarna tu mamool thaa leaqin aaj jub unhu nay jaan-e-mun kaha thaa tu woh khushi mehsoos howe thee kay alfaaz main beyaan nahi ke ja sakti.
Main aik din apni dost saath khilkhala kay ground main baeth kay hans re thee aen apni aadat kay mutaabiq kay mujhay laga kay koe neeli aankho wala larka mujhay dekh reha hai. Main nay apni aankho ka pani saaf keya tu dekha kay waaqay koe aik neeli aankho wala larka beykhabar her cheez say mujhay tiktaki baand ker dekh reha thaa. Thaa tu mera rang be surkh safaed leaqin us larkay ka itna surkh rang thaa kay mujhay laga tamatar hai. Phir main nay mehsoos keya wahi tamatar jasa neeli aankho wala larka aksar meray aagay pichay university main phirta rehta thaa. Us kay chay fut qud ussay kay smart badan pay khoob jachta thaa.
Phir aesa aksar honay laga kay hum dono kay aankhain do aur do chaar honay lagi. Na janay kub yeh aankhain milanay ka silsala mohabbat main tabdeel hu gya aur hum dono suhanay mustaqbil kay khaab bunay lagay. Mera dil ander say khoofzada thaa kyounkay hum loag apni zaat say baahir shadi nahi kertay thay. Haeratangaiz baat thee kay jub main nay Mummy aur Daddy say Moaz kay baray baat ke tu woh shadi kay liyay maan gay thay. Main tu soachti thee woh university jana band keray gay mere baat sun ker leaqin yaha tu ult he baat nikli thee.
Aaj main apnay waeldaan ke duao kay saey talay rukhsat hu kay es ghar aaye thee aur Moaz kay khushyu ka aangun aab mujhay aaj say banaana shoro kerna hai.

Khamosh Ishq

Aaj aap nay ju pink dress pehna hai na, us nay aap kay husan ko chaar chand laga diyay thay. Aaj aap mujhay itni pyari lug rahi thee kay nazar he nahi hut rahi thee. Esse liyay sara din aap kay aas paas aaj kuch zayadaeh he nazar aaa reha thaa. Mera dil chaah reha thaa kay aap meray saamnay baeth jaey aur main aap ko dekhta rahu. Woh loag unday hain ju kehtay hain kay aap pyari nahi. Koe mere nazar say aap ko dekhay. Jannat ke hooro say be zayadaeh pyari hain aap. Rameez rozana ke tarah aaj be diary main yeh baatain likh reha thaa.
Rameez medical college main Romaisa say aik saal aagay thaa. Aik din jub medical college main annual function thaa tu Rameez nay pehli dafa Romaisa ko dekha thaa. Her saal ke tarah aaj be Rameez ko mukhtalif awards milay thay. Rameez apna award lay reha thaa kay us ki nazar Romaisa per parh gae. Rameez koe aesa wasa larka nahi thaa leaqin phir be Romaisa ko pehli nazar main apna dil day baetha thaa.
Rameez dil tu day betha leaqin itni himat kabih nahi howe thee kay Romaisa ko ja ker apnay dil ke baat bataata. College kay main gate kay paas aik darakht thaa. Rameez rozana Romaisa kay anay say 5 minutes pehlay us darkht saath khara hu jata aur sobo sobo apni mehbooba ka dedaar kerta. Phir break main be Romaisa ko dekhta aur baaqi sara din be bahanay dondtay rehta Romaisa ko dekhnay kay. Us kay dost usay majno kaeh ker chirtay rehtay tu woh hans detay. Agher koe kehta kay Rameez tum itnay pyaray hu aur pyar waajbi say shakal-o-sorat larki say kertay hu tu Rameez kehta woh tu hooro say be pyari hai.
Romaisa ko be Rameez pasand thaa leaqin us ke sharm-o-haya aaray aaa jati thee. Rameez khul ker koe baat nahi kerta tha tu woh be khamoosh he thee. Esse kashmakash main Rameez doctor bun gya aur aik saal baad jub Romaisa be doctor bun gae tu Rameez kay ghar walo nay apni pasand say us ke shaadi ker de. Rameez ka dil shaadi kernay ko nahi chaahta thaa leaqin woh baybus thaa. Us nay shaadi say pehlay un tamaam gifts ju woh her moqay pay Romaisa kay liyay leta thaa leaqin denay ke himat nae ker pata thaa aur apni diary ko aag laga de.
Suhaag raat ko jub us nay apni biwi ka gungat uthaya tu chup thaa aur soach reha thaa kay aaj be mujhay Romaisa he nazar aaa re hai. Rameez ke biwi nay jub kafi daer apnay khawand ko khamosh paya tu choank kay upper dekha tu heraan raeh gae. Us ke shaadi Rameez say howe thee. Rameez ko be yaqeen hu gya thaa kay yeh us ka weham nahi bulkay haqeqat hai kay hujla-e-aroosi main Romaisa thee leaqin aaj ke raat Rameez ko khamosh mohabbat na sirf aankho bulkay honto say be boal rahi thee.

Qismat ki batain

Zirwa aur Humza akathay university main pertay thay. Dono class fellow thay. Dono aik dosray ko pasand kertay thay. Dono ka taluq azad khayal garano say thaa. Esse liyay dono nay ghar main apnay mustaqbil kay baray baat nahi ke thee. Dono nay soach rakha thaa kay Masters kernay kay foran baad ghar baat keray gay aur shaadi ker lay gay.
Dono ganto baeth kay suhanay mustaqbil kay khaab buntay rehtay thay. Zirwa ko pernay ka kuch zayadaeh he shoak thaa. Woh chaahti thee kay masters kernay kay baad M.Phill keray ge aur phir Ph.D. Humza ka eraada thaa kay woh masters kernay kay foran baad apnay daddy ko join ker lay ga family business main.
Humza say yeh bardaasht nahi hota thaa kay woh Zirwa say aik lamhay kay liyay bey khabar hu. Dono university main jatay apnay time say pehlay thay leaqin waapis bohat late aatay thay. Baaqi ka sara din messaging ya calls ke jati. Zirwa ko Humza ka aesa rawaeya acha lagta thaa. Woh us say aksar poachti rehti thee kay kya woh typical mardo ke tarah badlay ga tu nahi? Humza kehta thaa her beta howa lamha meray dil main tumhari mohabbat berhata hai. Main khud say begana hu sakta hu leaqin tum say nahi. Meray din ke ibtada tum say aur ekhtataam be tum he say hota. Tum say hamesha aaj ke tarah pyar aur us ka ezhaar keru ga. Zirwa Humza ke aese baatain sun ker nihaal hu jati thee. Dono nay saath jenay mernay ke qasmain khae thee.
Qismat kay khael koe nahi janta. Hota wahi hai ju Khuda chaahta. Ensaan kuch soachta hai aur hota kuch aur hai. Es say pehlay kay Humza ka masters ka result aata aur woh ghar baat kerta, aik din us kay mummy nay ussay bataya kay un logo nay us ka rishta taa ker deya hai. Humza nay magher mummy… Tu us ke mummy kehnay lagi kay magher wagher kuch nahi. Humain pata kay humara beta ferma bardaar hai esse liyay hum nay tumhara rishta tumhay bataey beghair taa ker deya. Shaadi kay cards taqseem kiyay ja chukay hain aaj.
Humza sakht pershaan thaa aur us nay Zirwa say es topic pay baat ke. Zirwa nay kaha kay woh apnay maa baap ke ezat per aanch na anay day. Us kay baad us nay phone band ker deya leaqin apnay aanso na roak paye. Zirwa apnay totay howay dil kay saath dosray shehar mazeed pernay chali gae.
Humza ke shaadi ko sirf 2 saal howay thay us ke biwi car accident main mer gae. Humza pershaan rehta thaa aur dosray shehar chala gya thaa. 1 din us ke bazar main Zirwa say mulaqat hu gae. Dono nay aik dosray kay baray poacha tu Humza nay bataya kay us ke biwi mer gae hai. Zirwa nay kaha kay us nay shaadi he nahi ke. Yeh qismat kay khael thay kay woh dobara phir mil gay thay aur phir dono nay shaadi ker le.

Diya jalaay rakhna

Mere shaadi Fahad say howe thee. Fahad meray maamu kay betay thay. Hum dono mukhtalif shehru aur subo main rehtay thay es liyay kuch khaas aatay jatay nahi thay aik dosray kay ghar. Main baeyah kay peya ghar hazaro armaan lay ker aaa gae thee. Suhaag raat ko Fahad ke romantic nay khoobsorat aur yaadgaar bana deya thaa. Waleemay kay foran baad hum dono honeymoon kay liyay shamaali alaaqajat ke tarf chalay gay.
Her raat ko Fahad meray saath beyshumaar romantic baatain kertay aur main shermaati rehti. Aesa lagta thaa kay un ko paa ker dunya ke her khushi paa le hai. Honeymoos say waapis aey tu ghar walo nay purtapaak estaqbaal keya. Aglay din say Fahad nay office jana shoro ker deya. Ghar main mere 2 nunday aur 1 daywur thaa. Un kay saath kuch he dinu main mere khoob dosti hu gae thee. Raatain Fahad ke baaho main un ke romantic baatain suntay aur din un kay behan baayou saath khushgapya kertay.
Aik din Fahad ko main nay office janay kay liyay jagaya tu woh kehnay lagay kay koun sa office? Main kissi office nahi jata. Sonay du mujhay aur tum be meray paas late jao. Main heraan thee aur kamray baahir chali gae. Baahir aaa ker main nay mamaani aur maamu ko Fahad ka yeh mazak bataya tu dono mujh say nazray chura rehay thay. Main nay kamray kay ander aaa ker Fahad ko dobara jagaaya tu woh phir tus say mus na howay aur soay rehay.
Phir raat ko woh romance he ker ray thay apni adat kay aen motaabiq. Phir aaglay din woh mujh say sara zewar yeh kaeh ker lay gay kay kul koe aur design dekha. Change ker kay laa ker deta hu. Raat kafi hu gae thee aur Fahad abhi taak lotay nahi thay. Raat gay jub woh ghar lotay tu un kay mou say tu sharab ke badboo aaa rahi thee. Main heraan thee. Zewar kay baray poacha tu kehnay lagay kay sub joway main haar gya aaj tu. Koe baat nahi agli dafa jeet ker aao ga. Meray tu pero talay zameen nikal gae thee un ke baat sun ker. Phir woh mujhay lay ker bed pay late gay aur pehli tarah mere tarefain kernay lagay. Phir kehnay lagay kay woh meray beghair rehnay ka tasawour be nahi ker saktay. Thoori daer main he woh su gay. Mere aankho say aanso baeh rehay thay. Aglay din aey tu sharab kay nashay main daat thay. Mujh say baat taak nahi ke aur so gay. Phir yeh roaz ka mamool bun gya.
Meray paas aab es kay sawa koe aur chara nahi thaa kay umeed kay diyay kay roshan kiyay rakhti aur Fahad kay rahay-e-raat pay aanay ka intazaar kerti. Shaadi kay 2 saal baad jub mere bete nay unhay pehli dafa “ daddy “ kaeh ker pukara tu unhu nay bete ko choom leya aur mujhay kehnay lagay kay kul say main nokri shoro ker du ga.

Ik larki ki dardnak Muhabbat

Kuch loog piyar karte hain aur usey paa bhe letay hain Magher Meri Kahani Kuch Ajeeb See Hai Jis Mein dard kay siwa Kuch nahe Hai…Mein aik aisi larki hoin ju piyar k liye Humesha tarsi..Mein ne humesha piyar ki bheek mangi magher muje kisi ne piyar nahe dia..Sub nee neech dekha kisi ne izzat nahe dee chahay apnay hoin ya paraie…Phir Aik din The day was 4TH AUGUST 2004 AT 2:30 AFTER NOON While i was chatting Meray pass aik id aie His name was Bilal…As i told u kay muje loogoin ne bhout toora tha aurmein bhout tooti thi tu mein aik aisay dost ki talash mein thi ju mera sath dey..jis kay sath mein baith ker roo sakoin..Well bilal muje mila Humari herr rooz batein hoti..Mein nay usey phir apna mobile no dia aur hum her rooz bat kartay yani kay hum aik dosray ki kamzoori ban gaie..Usey bhe aik dost ki talash thi becoz usey bhe kisi ne dhoka dia tha aur muje tu pori dunya ne….Khair humari her rooz batein hoti aur najane kab Bilal meri zindage ban gia..Jis kay bina jeena guunah lagta tha..Aur vo din a he gia Jab us ne muje aurmein ne usey propose Kia..V both express tht v love each other On da day 6TH OCT 2005 (1ST ROZA) raat kay 1:30 bajay hum nay aik dosrey ko kaha..Us waqt hum batein ker he rahay thay kay card mein tune aie UR CALL WILL BE DISCONNECTED mein nay bilal ko kaha billa card khatum Ok bye he said i wanna say sumthing ashi n tht is I LOVE U ..mein sharma gaie aur hairan thi kay How could be it possible card mein aik mitn reh gia he said do U love me i was very confused wht should i say..and at last i said YES I DO LOVE U aur phone kaat gia tht was the most romantic day of my life..Well 1 saal hum dost rahay aur 6th oct ko hum aik dosrey ki zindage ban gaie kukehmein bhout tooti huwi thi aur bilal ne muje itni izzat itna piyar dia kay i dunt hv even words 2 say…Khair waqt guzarta gia aur aik din it was 22nd Of March 2006 he said i want 2 see Ur chest On cam…Wellllllllllll I cant saymein itni hairan thi kay how could bilal even bilal say like this Kukeh piyar insaan dil se karta hai jism se nahe then how could….Khairmein ne mana ker dia Kukeh mein aik larki hoin aur mein bhalay aik lover hoin lekin us se pehlay aik beti hoin aur mera farz hai kay apnay mama aur baba ki izzat rakhoin is liye mein ne izzat ki khatir Bilal ko mana ker dia..Magher such tu yeh hai kay usey kabhi muj se sacha piyar tha he nahe..vo sub dikhawa tha..Lekin I and My ALLAH knowz kaymein nay usey kitna toot ker chaha tha aur humesha chahoingi..vo shaitan ki batoin mein behek gia tha…LEKIN MERI DUA HAI KAY VO HUMESHA KOSH RAHAY JAHAN RAHAY ABAD RAHAY…MEIN BHOOL GAIE THI KAY GHUM MERA MOQADAR HAI IS LIYE GHUM TU MILNA HE HAI….AGHER KOI SAMJHTA HAI KAY MEIN NE GHALAT KIA HAI THEN PLZ MAIL ME lekin mein nahe samjhti kay mein ne kuch ghalat kia hai Kukeh izzat aik bar gaie tu phir kabhi nahe ate..BILAL I LOVE U DEEPLY MADLY AND I WILL TILL THE END OF MY LIFE…One thing My age is 15 and m in 9th class sorry i forget 2 write…!Meri umar bhout choti hai lekin choti umar mein dekh lia aur jan gaie kay Zindage kia hai..Ab mein her lamha us ki yaad mein roti hoin aur shairi karti hoin…

Sucha Pyar

Main apni jaan se aaj se chaar saal pehle ek shaadi mein apne mama ji ke yahan mila tha . Gol chehra ,kaali aankhen chehre pe bholapan jee karta tha ki dekhte hi jaao ,jab hasti thee tho gaalon ke beech mein gaddhe pad jaate , kale baal ,main apni jaan ko bus dekhta hi rehta. Main izhhar karne se darta ki kahin vo inkaar na karde lekin main bahut bechain tha, maine himmat karke usse ek letter par sabkuch likhkar de diya phir usi din shaam ko jab room mein koi nahin that ho usne vo etter meri taraf dobara pheenk diya aur kehne lagi ye kabhi nahin ho sakta. Agle din uske papa ka phone aaya unhone usse vaapis bulaya tha. Main aur mere mamaji ka ladka usse ghar lekar gaye jab hum vaapis aane ke liye car mein baith gaye tho usne mujhse buy kiya. Main vaapis aa gaya lekin mera man nahin lag raha tha maine usse phone kiya vo bhi pareshaan thi usne mera number pooncha aur bas hamari prem kahani shuru ho gayi. Haalanki in char saaon mein bahut utaar chhadaao aaye lekin aaj hum saat hain aur hamari agle saal tak shaadi ho jaayegi . Haan ab fark itna aa gaya hai ki vo pehle muskuraati yhi ab hasti hai pehle naraaz hoti thi toh chillati thi ab maarti hai lekin vo meri zindagi hai aur mujhse beintehaan pyaar karti hai aur main bhi usse apni jaan se zyaada chahata hoon jabki aaj hum log 1500 km door hain aur3-4 maheenon mein ek baar milte hain lekin hamari chahat mein koi kami nahin hai.

Mobile Friendship

Main aik din faarigh baetha thaa kay mujhay aik wrong call aaa gae. Tub say hum dono ke mobile friendship hu gae thee. Meray dil main khawahish thee kay yeh mobile friendship shaadi main tabdeel hu jaey leaqin Mazoona jub kae baar mere bezati ker dete thee kay main tu aap say baat nahi kerna chaahti leaqin phir be ker he lete hu tu chup hu jata.
Mazoona nay pehli dafa jub Shoaib ko wrong call ke thee tu pasand aaa gya. Phir woh rozana ussay call kernay lagi. Phir najanay kub us say mohabbat ker bethe leaqin mohabbat ka ezhaar na ker pati. Phir us nay aksar aik shair ka misra Shoaib ko kehna shoro ker deya “Tumhi ko chaaha thaa tumhi miltay tu acha thaa!“. Shoaib nay jub kissi kisum ka raday-e-amal na zaahir keya tu woh samaj gae kay woh time pass kerta. Aik din shoaib nay Mazoona say poacha kay woh yeh misra kyoun bolti rehti hai to us nay kaha kay yeh us ka taqya qalaam hai. Mazoona nay soacha Shoain kehay ga leaqin yeh misra meray dil ke pukaar hai. Leaqin Shoaib nay jub Mazoona ke baat suni tu soacha kay agher woh us say shaadi kerna chaahti tu kehti kay apnay dil ke baat tumhay bataati hu.
Phir dono ke ghar walo nay shaadeya ker de leaqin unhu nay apnay honay walay humsafro ko dekha nahi thaa. Shaadi kay baad dono nay aik dosray ko call kerna choor de. Mazoona ko lagta kay us kay husband main kafi aadatay Shoaib wali hain. Udher Shoaib ka apni biwi kay baray khayaal thaa. Aik din Nabeel nay Maliha say poacha kay agher tumhari mujh say shaadi na hoti tu mujh say kya kehna chaahti, us ke biwi nay kaha “Tumhi ko chaaha thaa tumhi miltay tu acha thaa!“.
Nabeel nay bola kya tum Mazoona hu tu us ke biwi, Maliha ” Shoaib ” kaeh ker us kay galay lug gae!

Secret Love

Jis insaan se mene aur jis insaan ne mujhse pyar kiya uska naam aditya hai ..abh meri kahani mujhe kabhi kabhi khud ko hi filmi lagti hai but even i dont know it really hapenped ..i was born in uk and brought up in Karachi ..i was from joint family then in june 2003 we came to uk becaus emy brother has to study as i was aparted from Karachi i was feelign depressed and one my frnds told me to go on internet and go to chatting room so i went to Karachifm chatting room and there the one first person i talked to with name i_love_someone_very_deeply and was the last person to talk with i was so surprised with him his attitude towards life and about everything his love about not to only his famiyl but for everyone who are around him..so i was slowly slowly getting attracted towards him ..but in mean while i came to knwo that he loves a girl names soha from Islamabad but we were still freinds he used to speak abotu soha i think 100 times and i used to listen to him ..but as she was frm Islamabad and he was fromKarachi so thsi relation didnt grew but adit told me like in between that he likes me the way he talks to me it always surprises me that he love sme but i always use to say it just your love who want to hear that well soha was gone we were very very good frnds i dont think so people who have never seen each other just chatted woth eachother for 1 year they can feel their pain and we were them people …suddenly one day on 13th of feburary he goes to me he cant speak to me because he has to go home i said to him ti shoudlnt intrupt our friendship he said no i cant ..i knew the reason that he loves me he dont want to say me because he told me about soha ..but anyhow i made him speak that and he said to me I Love You and these three words changed my life ..i was like in some other world .and all of you cant believe up to what extent we loved each other we havent seen each other till today …then he passed his graduation and i have told my parents about him they were like yes as well no as well dad was just concerned about my happiness he just said to me i just want you to be happy i will go and meet that boy but only on one condition he has to prove himself he has to be on very good job or buisness what he wants to do because my dad was a doctor and even my brothers so its obvious they want son in law like that and i am the only girl in my family …and this made it more sophisticated …but God wanted something else my dad passed away in Feburary 2006 and adits dad had cancer so i cant go back toKarachi by leaving my mum and he cant come to uk by leaving his family ..but we have decided to seprate from each other ..because we can do everything for our parents ..and love is not only getting it what i have got from adit i dont think so anybody has got it ..Even i havent seen him tillt odays date 15 november 2006 but i still love him madly and i knowhe loves me too we will leave apart with each other hearts in one soul but different bodies ..reason why i am writing because we used to read love stories and had competition with shayari and i used to still it from this site and he used to catch him ..and i did said to him whatever end would be of our story we will write it down on mohabbat.com ihave done my bit and i am sure he will write down his very soon becaus ei know he will coem and read it ..love you loads and miss you loads sara and also adit your sara is on her way for her rights and duties towards her parents ..and i will do it ..even you dotn forgot to do that dont let pur love to lose we will will by living apart but breathing from one soul love you loads always.

Mera pehla pehla pyar

Yeh un dino ki baat hai jab hamare aunty ki engagement thi us waqt mere nazar mere us cousin per pari jiss ko main bohat pasand ker ta tha dil se chahta tha mager main ne us se kabhi bhi koi baat nahi ki thi lekin us din achanak main ne use salam kia jiss ka us ne muskura ke jawab dya us ki muskurahat mere dil main is tarhan baas gai ke ghar per aane ke baad meri sabar ki intiha na rahi ab mera bechain dil chah raha tha ke mian kissi na kissi tarhan se us se mulaqat karon mager koi rasta nazar nahi aaraha tha keun kemain ne us se kabhi zindagi main koi baat nahi ki thi, ek din main inhi socho main ghum tha ke mere qismat achanaq khul gai mere cell phone per PCO se call aaye mere receive kerte hi us ne mujse kaha pehchana main us ki awaz kiss tarhan bhool sakta tha main ne be ikhtiar keh dala ji pehchan gya tum Sana hi ho na us ka naam sana hai phir who chup ho gai to main ne kaha is phone ker ne ki kya waja hai us ne kaha ke ab aap se baat ker ne ke lye koi reason bhi batana ho ga kya yeh zaroori haimain aap se bagair reason ke koi baat nahi ker sakti kya main samajh gya ke aag dono taraf barabar lagi hoi hai is tarhan hamare pyar ka agaz ho gya ab youn hi baton ka silsila shuro ho gia hum roz issi tarhan ek doosre se phone per baten ker ne lage or kai bar hamari mulaqat bhi ho chuki hai magar chup ke se ek din achanakmere mother ne mujh se kaha hum tumhari engagement ker rahe hain main pareshan ho gia keun ke mujhe us ke bare main kuch bhi nahi bataya tha jiss se mere mangani ker rahe the ab main or bhi pareshan ho gia keun ke main ne yeh sooch lia tha ke agr koi meri life partner ho gi to who sirf or sirf sana hi ho gi main ne foorann us se contact kia or use saari haqiqat bata di mujh se us ki aankhon ke aanson nahi dekhe ja rahe the main ne use dilasa dia or us kaha ke agar hamara pyar sacha ho ga to hum zaroor ek saath rahen ge hum yeh samajh rahe the ke hamare pyar ke bare main kissi ko kuch nahi pata lekin is ki khabar mere parents ko ho gai thi chand roz baad main ne apni mother se kaha main engagement nahi ker raha mother ne kaha keun beta, main ne ghabrahat ke mare bahana banate hoe kaha ke abhi mere age hi kia hai abhi mujhe bohat kuch kar na hai yeh baat sunte hi meri mother hansne lagi or kehne lagi beta sirf ek baar mere khatir tum yeh photo to dekh lo phir apna faisla sunana photo dekhte hi mere hosh ur gai or mere ajeeb se kefiat ho gai jissi main byan nahi ker sakta yeh to sana hai main ne ka mother ne kaha ji beta hame pata hai yeh sana hai issi lye to is se tumhari mangani te ki hai keun beta ab faisla badal lo yahmain tumhari mangani cancel kar doon main ne hami bhar li ab mujh se raha na gia or main ne sana ko phone kia or us se milne ko kaha who mujh se milne aaye main ne usey yeh kushkhabri suani or who bhi wohab khush thi aaj hamari mangani ho gai hai hum bohat khush hain ek doosre se bohat pyar ker te hain us ke milne ke baad mere zindagi hi badal gai hai.

Bepanah pyar

Us Aashiq nay 12 sal pyar kia hai aur in 12 salon mian jo pyar ki qeemat jo usne ada ki hia woh hi janta hun k usney kia khoya aur kia paya
paya to sirf sabaq hai lakin khoya sab kuch hai
us larkey ko jab pyar hwa to us waqt uski umar 8 ya 9 sal thi.
ap sab bhi heran ho gain ho gain k yeh bhi koi umar hai pyar kerney ki lakin shayad woh us k dil k bohot qareeb thi is liyey us k dil main bas gai khair us larkey ka pyar us larki k liyey din badin barhta gaya aur us larkey k dil main hi nahi us us larki k dil mian bhi pyar us larkey k liyey barhta gaya lakin dono k pyar sey dono k ghar waley khush nahin they dono pyar apni zimmedari per ker rahey they
12 sal tarapan k bad un dono ki zid k agey dono k ghar walon ne har man hi li lakin yeh un ki har thi ya koi drama yeh to ALLAH hi behtar janta hai
12 sal bad 28 october 2006 jo din woh larka aj tak nahi bhula woh din us k liyey sab sey bada khushi ka din tha jo us k liyey kab qayamat ka din ban gaya usey pata hi nahin chala
uski engegment hui aur bari dhum dham sey hui lakin jab end ki rasmain chal rahin thin to achanak us larkey ki sister ka us larki ki sister sey jhjgra ho gaya aur jis ko us ney 12 sal chaha yeh soch ker k ek din woh usey miley gi zarur miley gi per us ney to us ka hath sahi sey thama hi nahin tha k chura liya gaya
is hadsey k bad woh larki 4 din tak behosh rahi hai aur woh larka apney gharwalon sey itna dur chala gya k jahan woh apney ap ko bhi nahin pehchan pa raha tha
aj tak us larki ko0 yad ker k woh larka rota hai us ki awaz sunney k liyey tarasta hai us ko dekhney k liyey tarapta hai koi us sey us ki jan ley ley per us larki se mila dey aur ager mila nahin sakta ho us ko dikha hi dey aur ager dikha bhi nahin sakta to sirf uski awaz hi suna dey bcoz
  He LOVE HER VERY MUCH.