Pages

Friday 28 October 2011

Sucha Pyar

Main apni jaan se aaj se chaar saal pehle ek shaadi mein apne mama ji ke yahan mila tha . Gol chehra ,kaali aankhen chehre pe bholapan jee karta tha ki dekhte hi jaao ,jab hasti thee tho gaalon ke beech mein gaddhe pad jaate , kale baal ,main apni jaan ko bus dekhta hi rehta. Main izhhar karne se darta ki kahin vo inkaar na karde lekin main bahut bechain tha, maine himmat karke usse ek letter par sabkuch likhkar de diya phir usi din shaam ko jab room mein koi nahin that ho usne vo etter meri taraf dobara pheenk diya aur kehne lagi ye kabhi nahin ho sakta. Agle din uske papa ka phone aaya unhone usse vaapis bulaya tha. Main aur mere mamaji ka ladka usse ghar lekar gaye jab hum vaapis aane ke liye car mein baith gaye tho usne mujhse buy kiya. Main vaapis aa gaya lekin mera man nahin lag raha tha maine usse phone kiya vo bhi pareshaan thi usne mera number pooncha aur bas hamari prem kahani shuru ho gayi. Haalanki in char saaon mein bahut utaar chhadaao aaye lekin aaj hum saat hain aur hamari agle saal tak shaadi ho jaayegi . Haan ab fark itna aa gaya hai ki vo pehle muskuraati yhi ab hasti hai pehle naraaz hoti thi toh chillati thi ab maarti hai lekin vo meri zindagi hai aur mujhse beintehaan pyaar karti hai aur main bhi usse apni jaan se zyaada chahata hoon jabki aaj hum log 1500 km door hain aur3-4 maheenon mein ek baar milte hain lekin hamari chahat mein koi kami nahin hai.