Pages

Friday 28 October 2011

Khamosh Ishq

Aaj aap nay ju pink dress pehna hai na, us nay aap kay husan ko chaar chand laga diyay thay. Aaj aap mujhay itni pyari lug rahi thee kay nazar he nahi hut rahi thee. Esse liyay sara din aap kay aas paas aaj kuch zayadaeh he nazar aaa reha thaa. Mera dil chaah reha thaa kay aap meray saamnay baeth jaey aur main aap ko dekhta rahu. Woh loag unday hain ju kehtay hain kay aap pyari nahi. Koe mere nazar say aap ko dekhay. Jannat ke hooro say be zayadaeh pyari hain aap. Rameez rozana ke tarah aaj be diary main yeh baatain likh reha thaa.
Rameez medical college main Romaisa say aik saal aagay thaa. Aik din jub medical college main annual function thaa tu Rameez nay pehli dafa Romaisa ko dekha thaa. Her saal ke tarah aaj be Rameez ko mukhtalif awards milay thay. Rameez apna award lay reha thaa kay us ki nazar Romaisa per parh gae. Rameez koe aesa wasa larka nahi thaa leaqin phir be Romaisa ko pehli nazar main apna dil day baetha thaa.
Rameez dil tu day betha leaqin itni himat kabih nahi howe thee kay Romaisa ko ja ker apnay dil ke baat bataata. College kay main gate kay paas aik darakht thaa. Rameez rozana Romaisa kay anay say 5 minutes pehlay us darkht saath khara hu jata aur sobo sobo apni mehbooba ka dedaar kerta. Phir break main be Romaisa ko dekhta aur baaqi sara din be bahanay dondtay rehta Romaisa ko dekhnay kay. Us kay dost usay majno kaeh ker chirtay rehtay tu woh hans detay. Agher koe kehta kay Rameez tum itnay pyaray hu aur pyar waajbi say shakal-o-sorat larki say kertay hu tu Rameez kehta woh tu hooro say be pyari hai.
Romaisa ko be Rameez pasand thaa leaqin us ke sharm-o-haya aaray aaa jati thee. Rameez khul ker koe baat nahi kerta tha tu woh be khamoosh he thee. Esse kashmakash main Rameez doctor bun gya aur aik saal baad jub Romaisa be doctor bun gae tu Rameez kay ghar walo nay apni pasand say us ke shaadi ker de. Rameez ka dil shaadi kernay ko nahi chaahta thaa leaqin woh baybus thaa. Us nay shaadi say pehlay un tamaam gifts ju woh her moqay pay Romaisa kay liyay leta thaa leaqin denay ke himat nae ker pata thaa aur apni diary ko aag laga de.
Suhaag raat ko jub us nay apni biwi ka gungat uthaya tu chup thaa aur soach reha thaa kay aaj be mujhay Romaisa he nazar aaa re hai. Rameez ke biwi nay jub kafi daer apnay khawand ko khamosh paya tu choank kay upper dekha tu heraan raeh gae. Us ke shaadi Rameez say howe thee. Rameez ko be yaqeen hu gya thaa kay yeh us ka weham nahi bulkay haqeqat hai kay hujla-e-aroosi main Romaisa thee leaqin aaj ke raat Rameez ko khamosh mohabbat na sirf aankho bulkay honto say be boal rahi thee.