Pages

Saturday 29 October 2011

Teri yaadon ke bina

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahi
Ik pal nahi jab tumhe humne pukaara nahi

Meri nakaamiyon ka itna bhi gham na kijiye
Agar aap jeete hain to main haara nahi

Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gham dil se utaara nahi

Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maanjhi bhi hai,kinaara nahi

Kar rakha hai jisne saare ghar mein ujaala
Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahi

Kisko gale laga ke rooye na-muraad hum
Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahi

Wo aa ke ponchh dein aansu humari aankhon se
Itna bhi humare haq mein naseeb hamara nahi