Pages

Friday 28 October 2011

Mobile Friendship

Main aik din faarigh baetha thaa kay mujhay aik wrong call aaa gae. Tub say hum dono ke mobile friendship hu gae thee. Meray dil main khawahish thee kay yeh mobile friendship shaadi main tabdeel hu jaey leaqin Mazoona jub kae baar mere bezati ker dete thee kay main tu aap say baat nahi kerna chaahti leaqin phir be ker he lete hu tu chup hu jata.
Mazoona nay pehli dafa jub Shoaib ko wrong call ke thee tu pasand aaa gya. Phir woh rozana ussay call kernay lagi. Phir najanay kub us say mohabbat ker bethe leaqin mohabbat ka ezhaar na ker pati. Phir us nay aksar aik shair ka misra Shoaib ko kehna shoro ker deya “Tumhi ko chaaha thaa tumhi miltay tu acha thaa!“. Shoaib nay jub kissi kisum ka raday-e-amal na zaahir keya tu woh samaj gae kay woh time pass kerta. Aik din shoaib nay Mazoona say poacha kay woh yeh misra kyoun bolti rehti hai to us nay kaha kay yeh us ka taqya qalaam hai. Mazoona nay soacha Shoain kehay ga leaqin yeh misra meray dil ke pukaar hai. Leaqin Shoaib nay jub Mazoona ke baat suni tu soacha kay agher woh us say shaadi kerna chaahti tu kehti kay apnay dil ke baat tumhay bataati hu.
Phir dono ke ghar walo nay shaadeya ker de leaqin unhu nay apnay honay walay humsafro ko dekha nahi thaa. Shaadi kay baad dono nay aik dosray ko call kerna choor de. Mazoona ko lagta kay us kay husband main kafi aadatay Shoaib wali hain. Udher Shoaib ka apni biwi kay baray khayaal thaa. Aik din Nabeel nay Maliha say poacha kay agher tumhari mujh say shaadi na hoti tu mujh say kya kehna chaahti, us ke biwi nay kaha “Tumhi ko chaaha thaa tumhi miltay tu acha thaa!“.
Nabeel nay bola kya tum Mazoona hu tu us ke biwi, Maliha ” Shoaib ” kaeh ker us kay galay lug gae!