Pages

Saturday 29 October 2011

Batao Kesa Lagta Hai

Batao Kesa Lagta Hai Kisi Ko Paa K Kho Dena
Kisi K Sath To Chalna Mager Uska Ho Na Pana

Khudhi Ko Koste Rehna Magr Usko Na Kuch Kehna
Khudi Girna Sambhalna, Hasna Or Ro Dena
Batao Kesa Lagta Hai

Khizan Ki Sakht Sardi Mai
Hijr Ki Lambi Raaton Mai Kisi Ki Yaad Mai Rona
Kisi Ko Sochte Sochte Apni Aankhain Band Karlena
Or Andheron Mai Chaley Jana
Batao Kesa Lagta Hai

Naye Rishton Mai Rang Jana
Mager Kisi Ko Bhool Na Pana
Batao Kesa Lagta Hai

Btao kesa lagta ha

Batao kaisa lagta hai??
Kisi veeran rastay pey
kisi anjaan raastay pey
kisi ka saath mil jana!!
khushi k phool khhil jana!!
Batao kaisa lagta hai??
or oss k baad phir ek din
kisi ka yun bichhar jana.
sab hi rangon ka mitt jana
woh band muthhii mai haathon ki
faqt kuch raitt reh jana
Batao kaisa lagta hai?

Muhabbat ka Aaghaz

Aaghaz to hota hai anjaam nahi hota
jab meri kahaani meiN Wo naam nahi hota

jab zulf ki kaalikh meiN ghul jaaye koi raahi
badnaam sahi lekin gumnaam nahii hota

haNs haNs ke jawaaN dil ke hum kyoun na chune TukdRe
har shaKhs ki kismat meiN inaam nahii hota

bahte huye aaNsoo ne aaNkhoN se kaha tham kar
jo may se pighal jaaye wo jaam nahi hota

din Doobe haiN ya Doobi baaraat liye kashti
saahil pe magar koi kohraam nahi hota

Teri yaadon ke bina

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahi
Ik pal nahi jab tumhe humne pukaara nahi

Meri nakaamiyon ka itna bhi gham na kijiye
Agar aap jeete hain to main haara nahi

Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gham dil se utaara nahi

Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maanjhi bhi hai,kinaara nahi

Kar rakha hai jisne saare ghar mein ujaala
Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahi

Kisko gale laga ke rooye na-muraad hum
Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahi

Wo aa ke ponchh dein aansu humari aankhon se
Itna bhi humare haq mein naseeb hamara nahi

Ik haseen Khawab

Kal khwab mein dekha tha tumhe
Sach hai tab maloom tha na hume

Khwab mein haathon mein humare tumhara hath tha

Khwaab toota to khaamosh deewaro ka saath tha

Uss ek ehsas ne neend uda di humari
Saari raat guzar gayi jaagte hue humari

Kaise bhool sakte hain hum us haseen khwaab ko
Kuch pal ke liye hi to jis mein paya tha aapko

Kya karun ke ab

Har Kadam mein teri hi aahat sunaai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai
Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
ke rat bhar khwaabo mein ab tu hi dikhaai deti hai

Khil khilahat se teri khilta tha yoon jo ghar
Khaamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai
Jhoothi khushi se rokta hu saaki main apna gham
Tanhaai aa aa kar mujhe sachhi rulaai deti hai

Kahte hain kaaynaat me rangi hai har ek shai
tere bin kaaynaat par feeki dikhaayi deti hai
Ret ke maanind fisla ja raha hai waqt
ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai

Chalte-chalte raah pe ab bahakte hain kadam
Hawa ke jhonko me tu hansti sunai deti hai
Mahfil-o-masti me tujhe ja ke kya dhundhe hum
Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai

Har Kadam me teri hi aahat sunai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai
Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
ke rat bhar khwabo me ab tu hi dikhai deti hai

Main aisi mohabbat karta hoon

Main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon
tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab....sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main...aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis college main tum parhti ho
jis class main bhi tum jati ho
jis kursi peh tum baythti ho
jab class wo khali hoti hai
main ja k us main baythta hoon
us kursi ko main choota hoon
gadla sa ik tissue paper
jo tum nay class main choora tha
main pyar say us ko choota hoon
main us ko...purse main rakhta hoon
wo copy jis main lecture k tum
points likhti rehti ho
her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

LARKI KA JAWAB

tum jab bhi ghar par aatay ho
aur sab say batain kartay ho
main aut say parday ki janan
bus tum ko dekhti rehti hoon
ik tum ko dekhnay ki khatir
main kitni pagal hoti hoon
main aisi mohabat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jab darwazay par dastak ho
ya ghanti phone ki bajti ho
main chor k sab kuch bhagti hoon
aur tum ko jo na paoon to
ji bhar k ronay lagti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
mehfil main kaheen bhi jana ho
kapron ka selection karna ho
rang bohat say samnay bikhray hoon
us rang pe dil aa jata hai
jo rang k tum ko bhata hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
rozana apnay college main
kisi aur ka lecture suntay hoay
ya break k khali ghantay main
sakhyoon say batain kartay hoay
meray dhiyan main tum aa jatay ho
main, main nahin rehti phir janan
main tum main gum ho jati hoon
bus khuwabon main kho jati hoon
un aankhon main kho jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jis chehray par bhi nigha paray
her chehra tum sa lagta hai
wo sham ho ya ke dhop samay
sab kitna bhala sa lagta hai
janay ye kaisa nasha hai
garmi ka tapta mosam bhi
jaray ka maheena lagta hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
tum jab bhi samnay aatay ho
main tum say sunn na chahti hoon
kash kabhi tum ye keh do
tum mujh say mohabbat kartay ho
tum mujh ko bohat hi chahtay ho
lekin janay tum kyun chup ho
yeh soch k dil ghabrata hai
aisa to nahin hai na jana
sirf meri nazar ka dhoka ho
tum nay mujh ko chaha hi na ho
koi aur hi dil main rehta ho
main tum say poochna chahti hoon
main tum say kehna chahti hoon
lekin kuch pooch nahin sakti
mana ke mohabbat hai phir bhi
lab apnay khol nahin sakti
main larki hoon kaisay keh doon
main kaisi mohabat karti hoon
main tum say ye kaisay pochoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

Kaanch Ki Chori

“Kaanch Ki Chori”

Kitni Sada,
Kitni Pyari,
Kanch Ki Chori Jesi Larki,
College K Ik Kamry Me Bethi,
Jany Kya Kuch Soch Rahi Thi,
Us Ka Hath Kalai Pr Tha,
Or Who Kch Kch Khofzada Thi,
Ab Kia Hoga???
Mai B Us K Pas Hi Betha,
Us Ko Ghur Sy Dekh Raha Tha,
Mene Us Ka Hath Pakra,
Aur Pyar Sy Pocha,
Kiya Qissa Hy?????
Uski Ankhen Bheeg Gaien,
Aur Wo Dheemi Si Awaz Me Boli…..

Dekho..!!!

“Chori Toot Gai…

Hum tere Shehar mein

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De

Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

TanHa Lamhay

Mein raat bhaar rota raha
Khuli ankhon sotta raha
Nikalte ansoon se mein
Apna taan yoon hi bhigota raha

Ek ek ansoo kutch kehta raha

Diye us dard ko mein
Raat raat bhaar sehta raha

Badi shiddat se chaha tha tujhko

Kutch jhoote sapne mein sujota raha
Tere pyaar mein apni jindagi
Ko Mein yoon hi pirota raha

Teri hansi ko apni hansi banata raha

Tere dard ko mein apnata raha
Tere pyaar ki ek umeed ko
Sapno mein sajatta raha

Mila to sirf tanhai ka aalam

Mein dil ko jhoote sapne dikhata raha
Tu aayegi mujhe manane
Mein is dil ko sunata raha

Toot ke bikhaar chukka hoon ab

Tere diye jhakkam sehlata raha
Tu meri nahi rahi ab
Is dil ko yahi yakeen dilata raha